Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja

kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja

mahaul pe naghmat ki barsat kiye ja

duniya ki nigahon mein baDi hirs bhari hai

na-ahl zamane se hijabaat kiye ja

neki ka irada hai to phir puchhna kaisa

din raat faqiron ki mudaraat kiye ja

chalte rahen madhosh piyalon ki rawish par

nadan sitaron ko hidayat kiye ja

allah tera husn kare aur ziyaada

hum rah-nashinon se mulaqat kiye ja

ban aae jawabaat to mil jaenge KHud hi

ai dawar-e-mahshar tu sawalat kiye ja

hasti o adam kya hain ba-juz jumbish-e-abru

ai jaan-e-kinayat ishaaraat kiye ja

kahta hai 'adam' mujh ko har ek gosha-e-hasti

aaya hai to kuchh sair-e-KHarabaat kiye ja

(1263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja in PDF.