Kitni Be-saKHta KHata Hun Main

kitni be-saKHta KHata hun main

aap ki raghbat-o-raza hun main

main ne jab saz chheDna chaha

KHamushi chiKH uThi sada hun main

hashr ki subh tak to jagunga

raat ka aaKHiri diya hun main

aap ne mujh ko KHub pahchana

waqai saKHt bewafa hun main

main ne samjha tha main mohabbat hun

main ne samjha tha muddaa hun main

kash mujh ko koi batae 'adam'

kis pari-wash ki bad-dua hun main

(1404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Be-saKHta KHata Hun Main In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Kitni Be-saKHta KHata Hun Main is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Kitni Be-saKHta KHata Hun Main for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Kitni Be-saKHta KHata Hun Main in PDF.