KHush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya

KHush hun ki zindagi ne koi kaam kar diya

mujh ko supurd-e-gardish-e-ayyam kar diya

saqi siyah-KHana-e-hasti mein dekhna

raushan charagh kis ne sar-e-sham kar diya

pahle mere KHulus ko dete rahe fareb

aaKHir mere KHulus ko badnam kar diya

kitni duaen dun teri zulf-e-daraaz ko

kitna wasia silsila-e-dam kar diya

wo chashm-e-mast kitni KHabar-dar thi 'adam'

KHud hosh mein rahi hamein badnam kar diya

(1297) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. KHush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem KHush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download KHush Hun Ki Zindagi Ne Koi Kaam Kar Diya in PDF.