Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae

mai-KHana-e-hasti mein aksar hum apna Thikana bhul gae

ya hosh mein jaana bhul gae ya hosh mein aana bhul gae

asbab to ban hi jate hain taqdir ki zid ko kya kahiye

ek jam to pahuncha tha hum tak hum jam uThana bhul gae

aae the bikhere zulfon ko ek roz hamare marqad par

do ashk to Tapke aankhon se do phul chaDhana bhul gae

chaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran le lije

taqrib to achchhi thi lekin do aankh milana bhul gae

malum nahin aaine mein chupke se hansa tha kaun 'adam'

hum jam uThana bhul gae wo saz bajaana bhul gae

(1591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae in PDF.