Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main

matlab muamalat ka kuchh pa gaya hun main

hans kar fareb-e-chashm-e-karam kha gaya hun main

bas intiha hai chhoDiye bas rahne dijiye

KHud apne e'timad se sharma gaya hun main

saqi zara nigah mila kar to dekhna

kambaKHt hosh mein to nahin aa gaya hun main

shayad mujhe nikal ke pachhta rahe hon aap

mahfil mein is KHayal se phir aa gaya hun main

kya ab hisab bhi tu mera lega hashr mein

kya ye itab kam hai yahan aa gaya hun main

main ishq hun mera bhala kya kaam dar se

wo shara thi jise wahan laTka gaya hun main

nikla tha mai-kade se ki ab ghar chalun 'adam'

ghabra ke su-e-mai-kada phir aa gaya hun main

(1721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Matlab Muamalat Ka Kuchh Pa Gaya Hun Main in PDF.