Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai

munqalib surat-e-haalat bhi ho jati hai

din bhale hon to karamat bhi ho jati hai

husn ko aata hai jab apni zarurat ka KHayal

ishq par lutf ki barsat bhi ho jati hai

dair o kaba hi is ka na talluq samjho

zindagi hai ye KHarabaat bhi ho jati hai

jabr se taat-e-yazdan bhi hai bar-e-KHatir

pyar se aadat-e-KHidmat bhi ho jati hai

dawar-e-hashr mujhe apna musahib na samajh

baz auqat khari baat bhi ho jati hai

hashr mein le ke chalo mutrib o mashuq o subu

ghair ke ghar mein kabhi raat bhi ho jati hai

baz auqat kisi aur ke milne se 'adam'

apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai

(1357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai in PDF.