Mushkil Ye Aa PaDi Hai Ki Gardish Mein Jam Hai

mushkil ye aa paDi hai ki gardish mein jam hai

ai hosh warna mujh ko tera ehtiram hai

fursat ka waqt DhunDh ke milna kabhi ajal

tujh ko bhi kaam hai abhi mujh ko bhi kaam hai

aati bahut qarib se KHushbu hai yar ki

jari idhar udhar hi kahin daur-e-jam hai

kuchh zahr ko taraste hain kuchh mai mein gharq hain

saqi ye teri bazm ka kya intizam hai

mai aur haram? hazrat-e-zahid KHuda ka KHauf

wo to kaha gaya tha ki masti haram hai

ai zulf-e-ambarin zara lahra ke phailna

ek raat is chaman mein mera bhi qayam hai

ai zindagi tu aap hi chupke se dekh le

jam-e-adam pe likkha hua kis ka nam hai

(1367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mushkil Ye Aa PaDi Hai Ki Gardish Mein Jam Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Mushkil Ye Aa PaDi Hai Ki Gardish Mein Jam Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Mushkil Ye Aa PaDi Hai Ki Gardish Mein Jam Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Mushkil Ye Aa PaDi Hai Ki Gardish Mein Jam Hai in PDF.