Muskura Kar KHitab Karte Ho

muskura kar KHitab karte ho

aadaten kyun KHarab karte ho

mar do mujh ko rahm-dil ho kar

kya ye kar-e-sawab karte ho

muflisi aur kis ko kahte hain!

daulaton ka hisab karte ho

sirf ek iltija hai chhoTi si

kya use baryab karte ho

hum to tum ko pasand kar baiThe

tum kise intiKHab karte ho

KHar ki nok ko lahu de kar

intizar-e-gulab karte ho

ye nai ehtiyat dekhi hai

aaine se hijab karte ho

kya zarurat hai bahs karne ki

kyun kaleja kabab karte ho

ho chuka jo hisab hona tha

aur ab kya hisab karte ho

ek din ai 'adam' na pi to kya

roz shaghl-e-sharab karte ho

kitne be-rahm ho 'adam' tum bhi

zikr-e-ahd-e-shabab karte ho

ho kisi ki KHushi gar is mein 'adam'

jurm ka irtikab karte ho

(2601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muskura Kar KHitab Karte Ho In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Muskura Kar KHitab Karte Ho is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Muskura Kar KHitab Karte Ho for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Muskura Kar KHitab Karte Ho in PDF.