Sitaron Ke Aage Jo Aabaadiyan Hain

sitaron ke aage jo aabaadiyan hain

teri zulf ki gum-shuda wadiyan hain

zamana bhi kya raunaqon ki jagah hai

kahin rona-dhona kahin shadiyan hain

teri kakulen hi nahin sabz pariyan

meri aarzuen bhi shahzadiyan hain

baDi shai hai wabastagi do dilon ki

ye pabandiyan hi to aazadiyan hain

jahan qadr hai kuchh na kuchh aadmi ki

wo kya qabil-e-qadr aabaadiyan hain

yakayak na dil phenkna aankh walo

ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain

gharibon se kya kaam aasaishon ka

wo unche gharanon ki shahzadiyan hain

'adam' suraton ki chamak par na jaana

ye sab aankh ki fitna-ijadiyan hain

jahan bhi 'adam' koi dilbar makin hai

wahan kitni gunjaan aabaadiyan hain

(1413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitaron Ke Aage Jo Aabaadiyan Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Sitaron Ke Aage Jo Aabaadiyan Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Sitaron Ke Aage Jo Aabaadiyan Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Sitaron Ke Aage Jo Aabaadiyan Hain in PDF.