Wo Abru Yaad Aate Hain Wo Mizhgan Yaad Aate Hain

wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain

na puchho kaise kaise tir-o-paikan yaad aate hain

wo jin ke tahat jhuk jata tha sar asnam ke aage

wahi bhule hue ahkaam-e-yazdan yaad aate hain

jo akasr bar-war hone se pahle TuT jate the

wahi KHasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain

wo marmar ki tarah shaffaf aur hanste hue aaza

hayat-e-jawidan ke saz-o-saman yaad aate hain

guman hota hai wahshi nikhaton ne bhench Dala hai

kuchh itne be-mahaba sumbulistan yaad aate hain

wo gul-andaz jin ka KHalq sarmaya tha jine ka

wo ban ban kar charagh-e-mahfil jaan yaad aate hain

KHayal aata hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini ka

talatum rang ke KHushbu ke tufan yaad aate hain

uDi phirti thi boson ki chaTak jin ki fazaon mein

wo ehsasat mein Dube shabistan yaad aate hain

faqih-o-shaiKH ke zehnon mein but honge KHudaon ke

main insan hun mujhe to sirf insan yaad aate hain

piyala sham ko rakhta hun jab bhi main 'adam' aage

jawan ham-joliyon ke ru-e-KHandan yaad aate hain

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Abru Yaad Aate Hain Wo Mizhgan Yaad Aate Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Wo Abru Yaad Aate Hain Wo Mizhgan Yaad Aate Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Wo Abru Yaad Aate Hain Wo Mizhgan Yaad Aate Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Wo Abru Yaad Aate Hain Wo Mizhgan Yaad Aate Hain in PDF.