Wo Ahd-e-jawani Wo KHarabaat Ka Aalam

wo ahd-e-jawani wo KHarabaat ka aalam

naghmat mein Dubi hui barsat ka aalam

allah-re us zulf ke jaan-baKHsh andhere

jaise ki mahakte hue zulmat ka aalam

ai rasha-e-masti ka sabab puchhne wale

dekha hai kabhi pahli mulaqat ka aalam

nikle the mere sath wo jab bazm-e-azal se

kuchh subh ke aasar the kuchh raat ka aalam

yun us ki jawani ka kuchh andaza tha jaise

mai-KHane pe umDi hui barsat ka aalam

aankhon ke tasadum mein hikayat ki duniya

honTon ke tasadum mein KHarabaat ka aalam

aawaz mein kaliyon ke chaTakne ki latafat

raftar mein bahte hue naghmat ka aalam

hansti hui aankhon se sawalat ki barish

jalte hue honTon mein jawabaat ka aalam

kuchh mujh ko KHabar thi na unhen hosh tha apna

allah-re mad-hoshi o jazbaat ka aalam

aankhon mein shafaq jism mein mai zulf mein ThanDak

aalam bhi wo aalam ki KHarabaat ka aalam

anfas se aati hui ek narm si KHushbu

simTa hua honTon mein mudaraat ka aalam

wo chiz jise zindagi kahte hain wo kya hai

hanste hue shaffaf KHayalat ka aalam

baiTha hun 'adam' le ke baDi der se dil mein

kahte hain jise harf-o-hikayat ka aalam

(1548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ahd-e-jawani Wo KHarabaat Ka Aalam In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Wo Ahd-e-jawani Wo KHarabaat Ka Aalam is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Wo Ahd-e-jawani Wo KHarabaat Ka Aalam for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Wo Ahd-e-jawani Wo KHarabaat Ka Aalam in PDF.