Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai

ye kaisi sargoshi-e-azal saz-e-dil ke parde hila rahi hai

meri samaat khanak rahi hai ki teri aawaz aa rahi hai

hawadis-e-roz-gar meri KHushi se kya intiqam lenge

ki zindagi wo hasin zid hai ki be-sabab muskura rahi hai

tera tabassum farogh-e-hasti teri nazar e'tibar-e-masti

bahaar iqrar kar rahi hai sharab iman la rahi hai

fasana-KHwan dekhna shab-e-zindagi ka anjam to nahin hai

ki shama ke sath rafta rafta mujhe bhi kuchh nind aa rahi hai

agar koi KHas chiz hoti to KHair daman bhigo bhi lete

sharab se to bahut purane mazaq ki bas aa rahi hai

KHirad ke TuTe hue sitare 'adam' kahan tak charagh bante

junun ki raushan rawish hai aaKHir dilon ko raste dikha rahi hai

(2005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Ye Kaisi Sargoshi-e-azal Saz-e-dil Ke Parde Hila Rahi Hai in PDF.