Zaban Par Aap Ka Nam Aa Raha Tha

zaban par aap ka nam aa raha tha

gham-e-hasti ko aaram aa raha tha

KHuda ka shukr teri zulf bikhri

baDi garmi ka hangam aa raha tha

sitare so gae angDai le kar

ki afsane ka anjam aa raha tha

taDap kar main ne tauba toD Dali

teri rahmat pe ilzam aa raha tha

'adam' dil kho ke aasuda nahin hum

bura tha ya bhala kaam aa raha tha

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Par Aap Ka Nam Aa Raha Tha In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Zaban Par Aap Ka Nam Aa Raha Tha is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Zaban Par Aap Ka Nam Aa Raha Tha for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Zaban Par Aap Ka Nam Aa Raha Tha in PDF.