Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye

zulf-e-barham sambhaal kar chaliye

rasta dekh-bhaal kar chaliye

mausam-e-gul hai apni banhon ko

meri banhon mein Dal kar chaliye

mai-kade mein na baiThiye taham

kuchh tabiat bahaal kar chaliye

kuchh na denge to kya ziyan hoga

harj kya hai sawal kar chaliye

hai agar qatl-e-am ki niyyat

jism ki chhab nikal kar chaliye

kisi nazuk-badan se Takra kar

koi kasb-e-kamal kar chaliye

ya dupaTTa na lijiye sar par

ya dupaTTa sambhaal kar chaliye

yar dozaKH mein hain muqim 'adam'

KHuld se intiqal kar chaliye

(1398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye in PDF.