Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin

panw rukte hi nahin zehn Thaharta hi nahin

koi nashsha hai thakan ka ki utarta hi nahin

din guzarte hain guzarte hi chale jate hain

ek lamha jo kisi tarah guzarta hi nahin

bhaari darwaza-e-ahan ki nahin khul pata

mere sine mein ye sannaTa utarta hi nahin

dast-e-jaan se main uTha lun use pi lun lekin

dil wo zahrab pyala hai ki bharta hi nahin

kya liye phirta hun main aab sarab aankhon mein

Dubta hi nahin koi ki ubharta hi nahin

ye pighalti hi nahin shama ki jalti hi nahin

ye bikharta hi nahin dasht ki marta hi nahin

kuchh na kahiye to bhala yun hi samajhte rahiye

puchh lije to wo aibon se mukarta hi nahin

(1013) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin In English By Famous Poet Abdul Hamid. Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin is written by Abdul Hamid. Read famous Poem Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin for youth and Student by Abdul Hamid. Free Download Panw Rukte Hi Nahin Zehn Thaharta Hi Nahin in PDF.