Jaana Kahan Hai Aur Kahan Ja Rahe Hain Hum

jaana kahan hai aur kahan ja rahe hain hum

apnon ki rahnumai se ghabra rahe hain hum

tum ne to ek nigah uThai hai is taraf

sau sau umiden bandh ke itra rahe hain hum

nakaam ho ke apni sada lauT aaegi

ye jaan kar bhi dasht mein chilla rahe hain hum

sab apni apni rah par aage nikal gae

ab kis ka intizar kiye ja rahe hain hum

na jaane kis ki yaad ne li dil mein gudgudi

aaina dekh dekh ke sharma rahe hain hum

duniya ke karobar se matlab nahin 'majid'

dil ko KHayal-e-yar se bahla rahe hain hum

(1260) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaana Kahan Hai Aur Kahan Ja Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Abdul Majeed Khan Majeed. Jaana Kahan Hai Aur Kahan Ja Rahe Hain Hum is written by Abdul Majeed Khan Majeed. Read famous Poem Jaana Kahan Hai Aur Kahan Ja Rahe Hain Hum for youth and Student by Abdul Majeed Khan Majeed. Free Download Jaana Kahan Hai Aur Kahan Ja Rahe Hain Hum in PDF.