Kahan Shikwa Zamane Ka Pas-e-diwar Karte Hain

kahan shikwa zamane ka pas-e-diwar karte hain

hamein karna hai jo bhi hum sar-e-bazar karte hain

zamane se rawadari ka rishta ab bhi baqi hai

magar sauda kisi se dil ka hum ek bar karte hain

mahaz-e-jang par sina-sipar ho kar main chalta hun

magar buzdil hamesha pusht par hi war karte hain

nahin milti unhen manzil jinhen KHauf-e-hawadis hai

jo maujon se nahin Darte nadi ko par karte hain

'majid' achchha nahin hota kisi se bhi juda hona

magar ye rasm-e-duniya hum ada sau bar karte hain

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan Shikwa Zamane Ka Pas-e-diwar Karte Hain In English By Famous Poet Abdul Majeed Khan Majeed. Kahan Shikwa Zamane Ka Pas-e-diwar Karte Hain is written by Abdul Majeed Khan Majeed. Read famous Poem Kahan Shikwa Zamane Ka Pas-e-diwar Karte Hain for youth and Student by Abdul Majeed Khan Majeed. Free Download Kahan Shikwa Zamane Ka Pas-e-diwar Karte Hain in PDF.