Charagh-e-zindagi Hoga Farozan Hum Nahin Honge

charagh-e-zindagi hoga farozan hum nahin honge

chaman mein aaegi fasl-e-bahaaran hum nahin honge

jawano ab tumhaare hath mein taqdir-e-alam hai

tumhin hoge farogh-e-bazm-e-imkan hum nahin honge

jiyenge jo wo dekhenge bahaaren zulf-e-jaanan ki

sanware jaenge gesu-e-dauran hum nahin honge

hamare Dubne ke baad ubhrenge nae tare

jabin-e-dahr par chhaTkegi afshan hum nahin honge

na tha apni hi qismat mein tulu-e-mehr ka jalwa

sahar ho jaegi sham-e-ghariban hum nahin honge

agar mazi munawwar tha kabhi to hum na the hazir

jo mustaqbil kabhi hoga daraKHshan hum nahin honge

hamare daur mein Dalin KHirad ne uljhanen lakhon

junun ki mushkilen jab hongi aasan hum nahin honge

kahin hum ko dikha do ek kiran hi TimTimati si

ki jis din jagmagaega shabistan hum nahin honge

hamare baad hi KHun-e-shahidan rang laega

yahi surKHi banegi zeb-e-unwan hum nahin honge

(3173) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-zindagi Hoga Farozan Hum Nahin Honge In English By Famous Poet Abdul Majeed Salik. Charagh-e-zindagi Hoga Farozan Hum Nahin Honge is written by Abdul Majeed Salik. Read famous Poem Charagh-e-zindagi Hoga Farozan Hum Nahin Honge for youth and Student by Abdul Majeed Salik. Free Download Charagh-e-zindagi Hoga Farozan Hum Nahin Honge in PDF.