KHirad Mein Mubtila Hai Salik Diwana Barson Se

KHirad mein mubtila hai 'salik' diwana barson se

nahin aaya wo mai-KHane mein bebakana barson se

mayassar jis se aa jati thi saqi ki qadam-bosi

muqaddar mein nahin wo laghzish-e-mastana barson se

ba-yaad-e-chashm-e-yar ek nara-e-mastana ai saqi

ki hao hu se KHali hai tera mai-KHana barson se

tujhe kuchh ishq o ulfat ke siwa bhi yaad hai ai dil

sunae ja raha hai ek hi afsana barson se

kisi ko to musharraf kar de ai zauq-e-jabin-sai

taqaza kar rahe hain kaba o but-KHana barson se

nai shamen jalao aashiqi ki anjuman walo

ki suna hai shabistan-e-dil-e-parwana barson se

koi jauhar-shanas aae to jaane qadar 'salik' ki

paDa hai KHak par ye gauhar-e-yak-dana barson se

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHirad Mein Mubtila Hai Salik Diwana Barson Se In English By Famous Poet Abdul Majeed Salik. KHirad Mein Mubtila Hai Salik Diwana Barson Se is written by Abdul Majeed Salik. Read famous Poem KHirad Mein Mubtila Hai Salik Diwana Barson Se for youth and Student by Abdul Majeed Salik. Free Download KHirad Mein Mubtila Hai Salik Diwana Barson Se in PDF.