Mere Dil Mein Hai Ki Puchhun Kabhi Murshid-e-mughan Se

mere dil mein hai ki puchhun kabhi murshid-e-mughan se

ki mila jamal-e-saqi ko ye tantana kahan se

wo ye kah rahe hain hum ko tere haal ki KHabar kya

tu uTha saka nigahen na bata saka zaban se

jo unhen wafa ki sujhi to na zist ne wafa ki

abhi aa ke wo na baiThe ki hum uTh gae jahan se

main adam ke lala-zaron mein nawa-gar-e-azal tha

mujhe khinch lai zalim teri aarzu kahan se

meri sarnawisht mein tha wahi dagh-e-na-muradi

jo mila meri jabin ko tere sang-e-astan se

bache bijliyon ki zad se wahi taeran-e-dana

jo kaDak chamak se pahle nikal aae aashiyan se

ye hai majra-e-wahshat ki mila suragh-e-mahmil

na ghubar-e-karwan se na dara-e-karwan se

nahin kuchh samajh mein aata ye ajib majra hai

ki zamin ke rahne walon ko hidayat aasman se

shab-e-gham jo aai 'salik' miTe baatni andhere

mera dil hua munawwar tab-o-tab-e-jawedan se

(1425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Mein Hai Ki Puchhun Kabhi Murshid-e-mughan Se In English By Famous Poet Abdul Majeed Salik. Mere Dil Mein Hai Ki Puchhun Kabhi Murshid-e-mughan Se is written by Abdul Majeed Salik. Read famous Poem Mere Dil Mein Hai Ki Puchhun Kabhi Murshid-e-mughan Se for youth and Student by Abdul Majeed Salik. Free Download Mere Dil Mein Hai Ki Puchhun Kabhi Murshid-e-mughan Se in PDF.