Kuchh Hasin Yaaden Bhi Hain Dida-e-nam Ke Sath Sath

kuchh hasin yaaden bhi hain dida-e-nam ke sath sath

zindagi mein husn bhi goya hai gham ke sath sath

dil tere hamrah jata hai ki paya jata hai

naqsh-e-dil mera tere naqsh-e-qadam ke sath sath

us ke sae ki tarah dekha nahin us se juda

hum ne to yazdan ko paya hai sanam ke sath sath

taki hun donon ki lazzat se barabar mustafid

wo karam farmate rahte hain sitam ke sath sath

'soz' un ki chah mein hum ne sada mahsus ki

ek anjaani soz-e-gham ke sath sath

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Hasin Yaaden Bhi Hain Dida-e-nam Ke Sath Sath In English By Famous Poet Abdul Malik Soz. Kuchh Hasin Yaaden Bhi Hain Dida-e-nam Ke Sath Sath is written by Abdul Malik Soz. Read famous Poem Kuchh Hasin Yaaden Bhi Hain Dida-e-nam Ke Sath Sath for youth and Student by Abdul Malik Soz. Free Download Kuchh Hasin Yaaden Bhi Hain Dida-e-nam Ke Sath Sath in PDF.