Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale

ghazal mein fan ka jauhar jab dikhate hain ghazal wale

zamin ko aasman jaisa banate hain ghazal wale

badal dete hain KHaron ki KHalish gul ki nazakat se

zaban shabnam ki shoalon ko sikhate hain ghazal wale

kabhi pahle ghazal un ki kabhi KHud peshtar is se

kisi ke dida-o-dil mein samate hain ghazal wale

agar aahon se apni koi misra gaDh bhi lete hain

to ashkon se girah us par lagate hain ghazal wale

wufur-e-shauq ki majburiyan bhi kaisi kaisi hain

kisi ka nam likh likh kar miTate hain ghazal wale

zamin zarKHez hai ye 'mir' 'ghaalib' aur 'momin' ki

ki jis mein fasl-e-taza ab ugate hain ghazal wale

ba-ijz-e-ilm-o-danish jao un ki bazm mein 'tarzi'

ghazal ki sher-bandi par bulate hain ghazal wale

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Ghazal Mein Fan Ka Jauhar Jab Dikhate Hain Ghazal Wale in PDF.