Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai

har aan nai shan hai har lamha naya hai

aaina-e-ayyam hai ya teri ada hai

rahbar jise hairat se khaDa dekh raha hai

wo rahraw-e-gum-gashta ka naqsh-e-kaf-e-pa hai

nalon ne ye bulbul ke baDa kaam kiya hai

ab aatish-e-gul hi se chaman jalne laga hai

ai jaan-e-wafa dil ke ewaz dard liya hai

kuchh soch samajh kar hi to ye kaam kiya hai

pahron pas-e-diwar khaDa tha so khaDa hai

diwana hai paband-e-rah-e-rasm-o-wafa hai

tanhai mein mahsus hua hai mujhe aksar

jaise mere andar se koi bol raha hai

tari hai sukut aaj samundar ki faza par

gahrai mein shayad koi tufan uTha hai

karta tha jo KHamoshi ki talqin hamesha

ham-saya mera KHwab mein wo chiKH raha hai

zindan ke darichon se hai phir shauq ne jhanka

shayad ki junun-KHez gulistan ki hawa hai

ye gardish-e-ayyam ka ehsan hai 'tarzi'

ab zaKHm-e-kuhan apna hara hone laga hai

(1086) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai in PDF.