Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage

marhala shauq ka hai lafz-o-bayan se aage

ek shoala hai koi barq-e-tapan se aage

apni hairat ka to hai ilm yaqin se pahle

tu bata mujh ko hai kya mere guman se aage

han mera shauq-laqa teri inayat hi sahi

kya mila mujh ko magar ijz-e-bayan se aage

kyun bana Dala ise meri nigahon ka ghurur

tera jalwa hai agar husn-e-butan se aage

apni KHalwat se kabhi tu bhi na bahar jhanka

mujh ko jaane na diya mere makan se aage

kuchh nahin is ke siwa apni nigahon ki bisat

kuchh dikhai na diya sud-o-ziyan se aage

fahm-o-idrak pe bhi mere hai pahra tera

aur tu sare makan sare zaman se aage

imtihan KHatm nahin hota isi par 'tarzi'

ju-e-KHun lani hai ek ashk-e-rawan se aage

(1177) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Marhala Shauq Ka Hai Lafz-o-bayan Se Aage in PDF.