Mar Jaenge Pindar Ka Sauda Na Karenge
mar jaenge pindar ka sauda na karenge
aisa na karenge kabhi aisa na karenge
wo zaKHm bhi pahunchaen karen chaaragari bhi
ye bhul kabhi mere masiha na karenge
phuTegi sahar dida-e-giryan se hamare
KHun-rez tabassum ka ujala na karenge
aaega zaban par na kabhi harf-e-shikayat
hum zikr ghazal mein bhi tumhaara na karenge
shabnam ki sifat shoala-mizajon ko nahin den
ye us ki nazakat ko gawara na karenge
jaenge sar-e-dar bhi ehram hi bandhe
hum shewa-e-haq-goi ko ruswa na karenge
hum zaKHmon ki shiddat ko bayan kar ke bhi 'tarzi'
qatil hi ka KHud apne qad uncha na karenge
(1008) Peoples Rate This