Main Pahuncha Apni Manzil Tak Magar Aahista Aahista
main pahuncha apni manzil tak magar aahista aahista
kiya hai pura ek mushkil safar aahista aahista
nahin aasan harim-e-naz tak ki thi rasai bhi
hue tasKHir lekin baam-o-dar aahista aahista
mata-e-azm-e-mohkam hi ka is ko moajiza kahiye
ki manzil ban gai KHud rahguzar aahista aahista
bahut hi saKHt garche zindagi ke marke the bhi
khula hai mujh pe har bab-e-zafar aahista aahista
raha hai rishta aisa sang-o-tesha se ki le aaya
main ju-e-shir ek shirin ke ghar aahista aahista
hunar aisa charaghon ke dhuan pine se aaya hai
ki shabnam mein badal jate sharar aahista aahista
nahin kuchh kaam aai hai kisi ki kimiya-sazi
bane qatre pasine ke guhar aahista aahista
sitaron ko banana aaftab aasan nahin hota
kiye kuchh marke aise bhi sar aahista aahista
sataish nukta-chini aur sile se be-niyazana
main bas chalta raha apni Dagar aahista aahista
faqat ek sai-e-paiham zindagi ka apni unwan hai
shab-e-tarik se phuTi sahar aahista aahista
falak ke chand taron se raqabat bhi nahin lekin
kiya daman ko KHud rashk-e-qamar aahista aahista
gul-o-ghuncha ki rang-o-bu mein pa leta hun sab un mein
khile hain is tarah dagh-e-jigar aahista aahista
hisar-e-na-shanasan ho ki bazm-e-nukta-chinan ho
mujhe aa hi gaya karna basar aahista aahista
main dilli lucknow mein garche pahle hi se tha lekin
hua hun ghar mein 'tarzi' mo'atabar aahista aahista
(1004) Peoples Rate This