Pursish Hai Chashm-e-ashk-e-fasha Par Na Aae Harf
pursish hai chashm-e-ashk-e-fasha par na aae harf
Duben bhi hum to sail-e-rawan par na aae harf
donon hi apni apni jagah la-jawab hain
apne yaqin pe un ke guman par na aae harf
ai rashk itna wahm-o-guman bhi baja nahin
ehsas-e-qurbat-e-rag-e-jaan par na aae harf
dil na-murad shoala-e-ariz se jal gaya
Darte the hum ki soz-e-nihan par na aae harf
hushiyar bazm-e-ghair mein nam un ka aa na jae
ai naghma-sanj josh-e-bayan par na aae harf
tir-e-nigah dil mein taraazu hua to ho
ab tere abruon ki kaman par na aae harf
hum un ke ru-ba-ru rahe is maslahat se chup
mahfil mein apne ijz-e-bayan par na aae harf
uD jae tegh se to rahe sarfaraaz sar
kaT jae baat par to zaban par na aae harf
is kashmakash mein teri gali se pare rahe
aae kahan pe harf kahan par na aae harf
'tarzi' tawaf-e-KHana-e-KHali se KHush nahin
bas jao tum to dil ke makan par na aae harf
(1141) Peoples Rate This