Subh Safar Aur Sham Safar

subh safar aur sham safar

hasti ka anjam safar

unche nam se kya hota hai

karna hai be-nam safar

suniye KHizan se kya kahti hai

gul gulshan gulfam safar

chand-sitare aur hawa

kis ko hai aaram safar

bachiye bachiye us se bachiye

kar de jo badnam safar

gahe kaam bigaDe bhi hai

gahe aawe kaam safar

khil nahin pae aur murjhae

hae re be-hangam safar

kaisa sauda sar mein samaya

sal-o-mah-o-ayyam safar

shikwa hai be-baal-o-pari ka

dekhiye zer-e-dam safar

tum bhi raho tayyar hi 'tarzi'

'ghaalib' aur 'KHayyam' safar

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Safar Aur Sham Safar In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Subh Safar Aur Sham Safar is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Subh Safar Aur Sham Safar for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Subh Safar Aur Sham Safar in PDF.