Zalzale SaKHt Aate Rahe Raat-bhar

zalzale saKHt aate rahe raat-bhar

ghar ko dhate giraate rahe raat-bhar

aap han aate jate rahe raat-bhar

waza-dari nibhate rahe raat-bhar

sara din naqsh un ka banate rahe

ban gaya to miTate rahe raat-bhar

koi bhi hum ko hatim nahin kah saka

garche moti luTate rahe raat-bhar

din mein sarmaya-kari jo ki dard ki

hum KHasare chukate rahe raat-bhar

subh-dam ju-e-KHun kaise wo ban gae

hum jo aansu bahate rahe raat-bhar

dekhiye sadgi aap ki dastan

aap hi ko sunate rahe raat-bhar

teri yaadon ka sawan barasta raha

gulistan hum khilate rahe raat-bhar

qamat-e-yar par aarzu ki qaba

dil ke hathon sajate rahe raat-bhar

lamha lamha miTe hum koi gham nahin

aap ko to banate rahe raat-bhar

hum bisat-e-tamanna bichhate rahe

aate aate wo aate rahe raat-bhar

teri yaadon ke lamhe bhi bedard the

tujh ko mujh se churaate rahe raat-bhar

aasman par sitare larazte rahe

ashk 'tarzi' bahate rahe raat-bhar

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zalzale SaKHt Aate Rahe Raat-bhar In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Zalzale SaKHt Aate Rahe Raat-bhar is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Zalzale SaKHt Aate Rahe Raat-bhar for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Zalzale SaKHt Aate Rahe Raat-bhar in PDF.