Gham-e-hayat Gham-e-dil Nishat-e-jaan Guzra

gham-e-hayat gham-e-dil nishat-e-jaan guzra

tumhaare sath har ek lamha shadman guzra

taDap ke dard se fariyaad ko jo lab khole

sitam shiar zamane pe ye garan guzra

badal de ruKH jo meri zindagi ke dhaaron ka

wo hadisa mere dil par abhi kahan guzra

jawab-e-tur-o-tajalli kahenge ahl-e-nazar

jo dil ki rah se wo husn-e-mehrban guzra

basa ke dil mein tere gham tere sitam ai dost

jahan jahan se bhi guzra main naghma-KHwan guzra

(1187) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-hayat Gham-e-dil Nishat-e-jaan Guzra In English By Famous Poet Abdul Mateen Niyaz. Gham-e-hayat Gham-e-dil Nishat-e-jaan Guzra is written by Abdul Mateen Niyaz. Read famous Poem Gham-e-hayat Gham-e-dil Nishat-e-jaan Guzra for youth and Student by Abdul Mateen Niyaz. Free Download Gham-e-hayat Gham-e-dil Nishat-e-jaan Guzra in PDF.