Ham-nafas KHwab-e-junun Ki Koi Tabir Na Dekh

ham-nafas KHwab-e-junun ki koi tabir na dekh

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

tu kisi husn-e-jahan-soz ki taswir na dekh

apne guzre hue haalat ki tafsir na dekh

husn-e-tadbir se taqdir badal de apni

jo hai haalat se mansub wo taqdir na dekh

tu parastar-e-amal hai to amal ki KHatir

KHwab-e-rangin ki qasam KHwab ki tabir na dekh

razm-e-hasti se guzarna hai agar tujh ko 'niyaz'

zulmat-e-shab ko samajh subh ki tanwir na dekh

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-nafas KHwab-e-junun Ki Koi Tabir Na Dekh In English By Famous Poet Abdul Mateen Niyaz. Ham-nafas KHwab-e-junun Ki Koi Tabir Na Dekh is written by Abdul Mateen Niyaz. Read famous Poem Ham-nafas KHwab-e-junun Ki Koi Tabir Na Dekh for youth and Student by Abdul Mateen Niyaz. Free Download Ham-nafas KHwab-e-junun Ki Koi Tabir Na Dekh in PDF.