Tujhko Aghraaz-e-jahan Se Mawara Samjha Tha Main

tujh ko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main

paikar-e-iKHlas taswir-e-wafa samjha tha main

jab liya nam-e-KHuda kashti kinare lag gai

jaane kis kis bul-hawas ko naKHuda samjha tha main

tha kisi zalim ka apna muddaa-e-zindagi

jis ko apni zindagi ka muddaa samjha tha main

tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat

jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein

intiha-e-yas mein ab kya kahun? kis se kahun?

ibtida-e-shauq mein kis kis ko kya samjha tha main

aa gaya jab aa gaya un ko KHayal-e-iltifat

apne shauq-e-dil ko 'bazmi' na-rasa samjha tha main

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhko Aghraaz-e-jahan Se Mawara Samjha Tha Main In English By Famous Poet Abdul Rahman Bazmi. Tujhko Aghraaz-e-jahan Se Mawara Samjha Tha Main is written by Abdul Rahman Bazmi. Read famous Poem Tujhko Aghraaz-e-jahan Se Mawara Samjha Tha Main for youth and Student by Abdul Rahman Bazmi. Free Download Tujhko Aghraaz-e-jahan Se Mawara Samjha Tha Main in PDF.