Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai

aaankhon mein murawwat teri ai yar kahan hai

puchha na kabhu mujh ko wo bimar kahan hai

nau KHat to hazaron hain gulistan-e-jahan mein

hai saf to yun tujh sa numudar kahan hai

aaram mujhe saya-e-tuba mein nahin hai

batlao ki wo saya-e-diwar kahan hai

lao to lahu aaj piyun duKHtar-e-raz ka

ai muhtasibo dekho wo murdar kahan hai

furqat mein us abru ki gala kaTunga apna

myan dijo use dam meri talwar kahan hai

jin se ki ho marbut wahi tum ko hai maimun

insan ki sohbat tumhein darkar kahan hai

dekhun jo tujhe KHwab mein main ai mah-e-kanan

aisa to mera tala-e-bedar kahan hai

sunte hi us aawaz ki kuchh ho gai wahshat

dekho to wo zanjir ki jhankar kahan hai

din chhine wo jab dekhiyo ghaarat-gari us ki

tab sochiyo KHurshid ki dastar kahan hai

us din ke hun sadqe ki tu khinche hue talwar

ye puchhta aawe wo gunahgar kahan hai

hanste to ho tum mujh pe wa-lekin koi din ko

rooge ki wo mera giraftar kahan hai

ai gham mujhe yan ahl-e-tayyush ne hai ghera

is bhiD mein tu ai mere gham-KHwar kahan hai

jab tak ki wo jhanke tha idhar mahr se hum to

waqif hi na the mahr par anwar kahan hai

us mah ke sarakte hi ye andher hai 'ehsan'

malum nahin raKHna-e-diwar kahan hai

(1257) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Aaankhon Mein Murawwat Teri Ai Yar Kahan Hai in PDF.