Bagh Mein Jab Ki Wo Dil KHun-kun-e-har-gul Pahunche

bagh mein jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche

bilbilati hui gulzar mein bulbul pahunche

sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche

gar meri dad ko kal tak bhi wo kakul pahunche

dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha

neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche

mehr kucha tera jhaDe hai ba-jarub-e-shua

ki isi tarah baham tujh se tawassul pahunche

apna ye munh to na tha aap talak hum pahunchen

aap ka jab ki hua hum pe tafazzul pahunche

ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junun mein kal hum

ba-tahammul ba-tammul ba-tajammul pahunche

gar tere wazn pe main sare qawafi bandhun

dam tera nak mein ai bab-e-tafawwul pahunche

KHana-abaad tumhaara ho ki hum hazrat-e-ishq

nafa ko tum se ba-ayyam-e-tawakkul pahunche

dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar

tohfe jo aap ne bheje hamein bilkul pahunche

jab gaya husn to aaya tere iKHlas ka bar

ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche

qahr ek rind pe qul pir-e-mughan ne tha paDha

sher ye hum ne suna sunne ko jab qul pahunche

tars-e-uqba hai to mai-KHana mein rah ai zahid

tab bacho wan jo baja kan mein qulqul pahunche

rashk-e-gul bagh mein baiTha tha to hum bhi 'ehsan'

ye ghazal paDhte hue wan ba-tajahul pahunche

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh Mein Jab Ki Wo Dil KHun-kun-e-har-gul Pahunche In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Bagh Mein Jab Ki Wo Dil KHun-kun-e-har-gul Pahunche is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Bagh Mein Jab Ki Wo Dil KHun-kun-e-har-gul Pahunche for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Bagh Mein Jab Ki Wo Dil KHun-kun-e-har-gul Pahunche in PDF.