Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz

dil to hazir hai agar kijiye phir naz se ramz

hain tere naz ke sadqe isi andaz se ramz

ramz-o-ima-o-kinae tujhe sab yaad hain yar

hum to bhule hain gham-e-ghamza-e-ghammaz se ramz

apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baiThun

is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz

dil ko tu sahj mein lewega ye main jaan chuka

yahi nikli hain teri sahj ki aawaz se ramz

hum jien ya ki maren kuchh nahin gham shauq se aap

masnad-e-naz pe farmaiye eazaz se ramz

main isi dam teri tarwar se kaTunga gala

tegh dikhla ke miyan aashiq-e-jaan-baz se ramz

baz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-alam hai

bachcha-e-qaz bhi karta hai yahan baz se ramz

kya tajjub hai agar murda-e-sad-sala jien

kam nahin mere masiha ke bhi eajaz se ramz

hai tujhe KHana-KHarabi hi agar madd-e-nazar

kijiyo ai falak us KHana-bar-andaz se ramz

ramz-e-'ehsan' se hai yani ki ghazal aur bhi paDh

sikh jae koi us chashm-e-fusun-saz se ramz

(1139) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Dil To Hazir Hai Agar Kijiye Phir Naz Se Ramz in PDF.