Marte Dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib

marte dam nam tera lab ke jo aa jae qarib

ji ko ThanDak ho tap-e-gham na mere aae qarib

bosa mangun to kahen mujh se ye bulwa ke qarib

kis ka munh hai jo mere munh ke wo munh lae qarib

hath dauDaun na kyun jabki wo yun aae qarib

panw phailaun na kyun panw jo phailae qarib

pas aaun to kahe pas-e-adab bhi hai zarur

dur jaun to wahan jae taqaza-e-qarib

mujh ko ai pir-e-mughan mohtasib-e-na-hanjar

qurb-e-mahshar hai ki be-qurbi se bulwae qarib

gham-e-duri se tere kuche ke roya aashiq

wan se jab rauza-e-rizwan use lae qarib

meri bedari se ai daulat-e-bedar ho kya

baKHt jagen jo mujhe apne to bulwae qarib

mere nalon se na din chain na shab ko hai qarar

marg ke pahunche hain ab to mere ham-sae qarib

aisi majlis se agar rahiye baid aula hai

dil dimagh apna to wo aur ye ghaugha-e-qarib

pas jaun to machal kar kahe chal yan se dur

dur baiThun to ghuDak kar mujhe farmae qarib

ishq ke pech mein hun chahiye hamdam pas-e-marg

ishq-e-pechan hi meri qabr ke lagwae qarib

mushk-o-sandal ho tere rang se baalon ham-sar

ghussa dil ko mere kis tarah na aa jae qarib

kuchh radif ab ki baDha qafiya 'ehsan' tu badal

phir qarib aise biTha tujh ko wo biThlae qarib

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marte Dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Marte Dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Marte Dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Marte Dam Nam Tera Lab Ke Jo Aa Jae Qarib in PDF.