Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega

nim-cha jald myan hi na miyan kijiyega

nim-jaanon ka abhi kaam rawan kijiyega

taqat-e-garmi-e-KHurshid-e-qayamat hai kise

tab ki dagh-e-jigar se na fughan kijiyega

dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho

mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega

kah do baqqal pisar se ki mera dil le kar

qasd-e-aKHz-e-dil-e-aghyar na han kijiyega

dil se dil pas hain to bhi hai dilon ki KHwahish

kya dilon ki kahin dilli mein dukan kijiyega

aur bhi soz-e-jigar bazm mein hoga raushan

shama san qata agar meri zaban kijiyega

yar jab sath safar mein ho kahan ki rozi

roz rozon hi mein id-e-ramzan kijiyega

kis se yarab kahun ahwal ye kahta hai wo but

apni yan ram-kahani na bayan kijiyega

wo dhuan-dhaar si zulfen hain nazar mein har shab

wird ab sura-e-wallail-o-duKHan kijiyega

shahr-e-dil ki tumhein aabaadi ka kuchh bhi hai KHayal

ya jahan rahiyega viran hi wahan kijiyega

meri jaanib se kaho mohtasib-e-shahr se ye

sai-e-arzani-e-mai az dil-o-jaan kijiyega

pani pi pi ke tumhein dewenge dushnam ye rind

tum subuk hoge agar baada giran kijiyega

jald 'ehsan' se kaho wo but-e-KHud-kaam aaya

ab to lillah kahin band zaban kijiyega

(1232) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Nim-cha Jald Myan Hi Na Miyan Kijiyega in PDF.