Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz

phir aaya jam-ba-kaf gul-ezar ai waiz

shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai waiz

na jaan mujh ko tu muKHtar saKHt hun majbur

nahin hai dil pe mera iKHtiyar ai waiz

anar-e-KHuld ko tu rakh ke hain pasand hamein

kuchen wo yar ki rashk-e-anar ai waiz

usi ki kakul pur-pech ki qasam hai mujhe

ki tere waz hain sab pechdar ai waiz

hamare dard ko kya jaane tu ki tujh ko hai

na dard-e-yar na dard-e-dayar ai waiz

kiya jo zikr-e-qayamat ye kya qayamat ki

ki yaad aaya mujhe qad-e-yar ai waiz

bhulaega na kabhi yaad-e-gul-ruKHan 'ehsan'

koi wo samjhe hai samjha hazar ai waiz

(1096) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Phir Aaya Jam-ba-kaf Gul-ezar Ai Waiz in PDF.