Kahan The Shab Idhar Dekho Haya Kyun Hai Nigahon Mein

kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein

agar manzur hai rakh lo mujhe jhuTe gawahon mein

muwahhid wo hun gar main sirr-e-wahdat kan mein kah dun

muazzin but-kade mein hon barahman KHanqahon mein

nazar mujh se chura kar munh chhupa kar kahte jate hain

ki ye chori bhi likkhi jaegi tere gunahon mein

siyahkari meri ban jae rashk-e-gesu-e-KHuban

qayamat ko chhupa baiTha rahun yarab gunahon mein

wahi 'rasiKH' to hain kal tak jo maiKHane ke darban the

bane baiThe hain hazrat chaar din se din-panahon mein

(630) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahan The Shab Idhar Dekho Haya Kyun Hai Nigahon Mein In English By Famous Poet Abdul Rahman Rasikh. Kahan The Shab Idhar Dekho Haya Kyun Hai Nigahon Mein is written by Abdul Rahman Rasikh. Read famous Poem Kahan The Shab Idhar Dekho Haya Kyun Hai Nigahon Mein for youth and Student by Abdul Rahman Rasikh. Free Download Kahan The Shab Idhar Dekho Haya Kyun Hai Nigahon Mein in PDF.