Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi

sher kahne ki tabiat na rahi

jis se aamad thi wo surat na rahi

us ki dahliz se uTh jaun magar

log sochenge mohabbat na rahi

ab mila adl, gaya daur-e-shabab

munsifi teri bhi waqat na rahi

waqt ki dauD mein rukna tha kaThin

sans lene ki bhi fursat na rahi

waqt-e-didar ajab hukm hua

hosh khone ki ijazat na rahi

tum se jazbaat the jab tum hi nahin

phir zamane se shikayat na rahi

main nikal aaun bayaban se agar

shohra ho jaega wahshat na rahi

bhiD mein DhunDen kahan qais ko ab

wo jo pahchan thi wahshat na rahi

daur-e-rafta ke namune ho 'salam'

ab takalluf ki zarurat na rahi

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi In English By Famous Poet Abdul Salam. Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi is written by Abdul Salam. Read famous Poem Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi for youth and Student by Abdul Salam. Free Download Sher Kahne Ki Tabiat Na Rahi in PDF.