Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi

ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

jo KHwab KHwab rahin un ki aarzu kaisi

ragon mein KHun hai shaKHon ki surKH-ru ghunche

KHizan mein ab ke bahaaron ki rang-o-bu kaisi

tamam patton ko mausam ne zard zard kiya

ye ek shaKH-e-tamanna hai sabz-ru kaisi

karo to yaad milan ke wo awwalin lamhe

ki chhiD gai thi nigahon mein guftugu kaisi

ye shahr-e-dil mein bhala aaj kis ki aamad hai

ye mahw-e-raqs hain KHushbuen ku-ba-ku kaisi

ufuq ka chehra 'suKHan' is kadar udas hai kyun

shafaq ke rang mein ye surKHi-e-lahu kaisi

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi In English By Famous Poet Abdul Wahab Sukhan. Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi is written by Abdul Wahab Sukhan. Read famous Poem Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi for youth and Student by Abdul Wahab Sukhan. Free Download Ai Meri Aankho Ye Be-sud Justuju Kaisi in PDF.