Agar Wo Gul-badan Dariya Nahane Be-hijab Aawe

agar wo gul-badan dariya nahane be-hijab aawe

tajjub nahin ki sab pani sati bu-e-gulab aawe

jidhan dekhun bahaaran mein nashat-e-bulbul-o-qumri

mujhe us waqt be-shak yaad ayyam-e-shabab aawe

mera afsana o afsun tere kan sabz kyunke ho

siyah mizhgan tumhaari dekh ke sabze kun KHwab aawe

meri ankhiyan phaDakti hain yaqin hai dil manin yaran

ki name kun piyare ke kabutar le shitab aawe

siyah-mastan ke aage sin nikalna hai nipaT mushkil

agar hoshyar tujh ankhiyan ke tain dekhe KHarab aawe

darang ek dam nahin lazim judai sin phaDakta hai

kaho ja kar KHush-abru kun ki 'yakru' kan shitab aawe

(1761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Wo Gul-badan Dariya Nahane Be-hijab Aawe In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Agar Wo Gul-badan Dariya Nahane Be-hijab Aawe is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Agar Wo Gul-badan Dariya Nahane Be-hijab Aawe for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Agar Wo Gul-badan Dariya Nahane Be-hijab Aawe in PDF.