Gal Ko Sharminda Kar Ai ShoKH Gulistan Mein Aa

gal ko sharminda kar ai shoKH gulistan mein aa

lab sin ghunche ka jigar KHun karo muskyan mein aa

wahi ek jalwa-numa jag mein hai duja koi nahin

dekh wajib kun sada majma-e-imkan mein aa

zindagi mujh dil-e-murda ki tauhin hai mat ja

dil se gar KHush nahin ai shoKH meri jaan mein aa

gul dil-e-ghuncha naman tang ho rang-o-bu sin

jab kare yaad tere lab ke tain dhyan mein aa

gar tu mushtaq hai dilbar safar-e-dariya ka

aa ke kar mauj mere dida-e-giryan mein aa

mat mila kar tu raqiban sin sabhi paji hain

dekh kar qadr aapas ka ai sanam shan mein aa

yun mera dil tere kuche ka bala-gardan hai

jyun kabutar uDe hai chhatri ke gardan mein aa

gar karo qatl mere dil kun taghaful sin jaan

phir ke dawa na karun hashr ke maidan mein aa

dil-e-'yakru' hai tera pae bandhiya kakul ka

yaad rakh us kun sada mat kabhu nisyan mein aa

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gal Ko Sharminda Kar Ai ShoKH Gulistan Mein Aa In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Gal Ko Sharminda Kar Ai ShoKH Gulistan Mein Aa is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Gal Ko Sharminda Kar Ai ShoKH Gulistan Mein Aa for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Gal Ko Sharminda Kar Ai ShoKH Gulistan Mein Aa in PDF.