Gudaz-e-atish-e-gham Sin Hui Hain Bawli Ankhiyan

gudaz-e-atish-e-gham sin hui hain bawli ankhiyan

anjhu ke bhant pani ho ke maTi mein ruli ankhiyan

karengi qatl dil kun aaj tegh-e-abruwan-seti

nipaT KHunin hain zalim hum nin teri aTkali ankhiyan

pae-daf-e-gazand-e-zul-fiqar abru tere mukh par

mizha kun kar zaban karti hain dam nad-e-ali ankhiyan

agar dekhen bahaar-e-husn khil gul ke naman phulen

rahin hain mund jaddai ye KHizan sin jun kali ankhiyan

nahin darkar kuchh ai KHush-nigah surme ka dumbaala

mera dil qatl karne kun yu bas hain aTkali ankhiyan

gaya hai mah-ru jab sin juda ho aab-e-haiwan jun

jase mahi juda jal sin tapin yun tilmili ankhiyan

na howe dard-e-sar 'yakru' kun paida garmi-e-gham sun

agar dekhen piya ke mukh ka rang-e-sandali ankhiyan

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gudaz-e-atish-e-gham Sin Hui Hain Bawli Ankhiyan In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Gudaz-e-atish-e-gham Sin Hui Hain Bawli Ankhiyan is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Gudaz-e-atish-e-gham Sin Hui Hain Bawli Ankhiyan for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Gudaz-e-atish-e-gham Sin Hui Hain Bawli Ankhiyan in PDF.