Is Tarah RuKH Pherte Ho Sunte Hi Bose Ki Baat

is tarah ruKH pherte ho sunte hi bose ki baat

shah-e-mashuqan ke aage kya hai ye eti bisat

kyun na dauDe tab diwana ho ke majnun dasht kun

jab likhi ho aashiqan ki shaKH-e-ahu pe baraat

jhiljhilati hai mahin jame sin tere tan ki jot

mah ka KHirman hai ai KHurshid-ru tera yogat

sau girah thi dil mein mere KHosha-e-angur jun

ek pyale sin kiya saqi nen hall-e-mushkilat

kuchh kaho 'yakru' piya dar sin tere Talta nahin

bujhta hai ek ye ghar jaanta nahin panch sat

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tarah RuKH Pherte Ho Sunte Hi Bose Ki Baat In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Is Tarah RuKH Pherte Ho Sunte Hi Bose Ki Baat is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Is Tarah RuKH Pherte Ho Sunte Hi Bose Ki Baat for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Is Tarah RuKH Pherte Ho Sunte Hi Bose Ki Baat in PDF.