Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya

chamka jo chand raat ka chehra nikhar gaya

mange ka nur bhi to baDa kaam kar gaya

ye bhi bahut hai sainkaDon paude hare hue

kya gham jo barishon mein koi phul mar gaya

sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe

dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya

saya bhi aap ka hai faqat raushni ke sath

DhunDoge tirgi mein ki saya kidhar gaya

hum jis ke intizar mein jage tamam raat

aaya bhi wo to KHwab ki surat guzar gaya

hum ne to gul ki chand ki tare ki baat ki

sab ahl-e-ajnuman ka guman aap par gaya

ghar hi nahin raha hai salamat bataen kya

'jawed' ke baad sail-e-bala kis ke ghar gaya

(1107) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya In English By Famous Poet Abdullah Javed. Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Chamka Jo Chand Raat Ka Chehra Nikhar Gaya in PDF.