Kabhi Pyara Koi Manzar Lagega

kabhi pyara koi manzar lagega

badalne mein use dam bhar lagega

nahin ho tum to ghar jangal lage hai

jo tum ho sath jangal ghar lagega

abhi hai raat baqi wahshaton ki

abhi jaoge ghar to Dar lagega

kabhi patthar paDenge sar ke upar

kabhi patthar ke upar sar lagega

dar o diwar ke badlenge chehre

KHud apna ghar paraya ghar lagega

chalenge panw us kuche ki jaanib

magar ilzam sab dil par lagega

hum apne dil ki babat kya bataen

kabhi masjid kabhi mandar lagega

agar tum marne walon mein hoge

tumhaara phul bhi patthar lagega

kahan le kar chaloge sach ka parcham

muqabil jhuT ka lashkar lagega

halaku aaj ka baghdad dekhe

to us ki ruh ko bhi Dar lagega

zamin ko aur uncha mat uThao

zamin ka aasman se sar lagega

jo achchhe kaam honge un se honge

bura har kaam apne sar lagega

sajate ho badan bekar 'jawed'

tamasha ruh ke andar lagega

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Pyara Koi Manzar Lagega In English By Famous Poet Abdullah Javed. Kabhi Pyara Koi Manzar Lagega is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Kabhi Pyara Koi Manzar Lagega for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Kabhi Pyara Koi Manzar Lagega in PDF.