Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut

koi rishta na ho phir bhi rishte bahut

aap apne nahin aap apne bahut

raaz rakhte na hum is talluq ko gar

log rote bahut log hanste bahut

dil ki tanhaiyon ka mudawa nahin

ghum kar hum ne dekhe hain mele bahut

is hi buniyaad par kyun na mil jaen hum

aap tanha bahut hum akele bahut

jab thi manzil nazar mein to rasta tha ek

gum hui hai jo manzil to raste bahut

KHwab tabir ke moD par kho gae

yun ki tabir-dan paD ke soe bahut

peD ko kaTne wale dekhen zara

peD par hain bane aashiyane bahut

Dubne wale shayad ye batla saken

Dubne ko sahaare ke tinke bahut

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut In English By Famous Poet Abdullah Javed. Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Koi Rishta Na Ho Phir Bhi Rishte Bahut in PDF.