Itna Yaqin Rakh Ki Guman Baqi Rahe

itna yaqin rakh ki guman baqi rahe

ek zara kar-e-jahan baqi rahe

baqi rahe yaadon ki ek qaus-e-quzah

yani meri ja-e-aman baqi rahe

shorish-e-KHun raqs-e-junun KHatm na ho

qahqaha-e-ham-nafasan baqi rahe

aata rahe yun hi sada mausam-e-gul

silsila-e-dil-zadagan baqi rahe

qafla-e-gham guzran ki bhi suna

hausla-e-ham-safaran baqi rahe

qaid-e-qafas shor-e-nafas kis ke liye

kis ke liye rishta-e-jaan baqi rahe

aankhon se chhin jaen ek ek KHwab magar

us ki talab dil ka dhuan baqi rahe

(1350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Yaqin Rakh Ki Guman Baqi Rahe In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Itna Yaqin Rakh Ki Guman Baqi Rahe is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Itna Yaqin Rakh Ki Guman Baqi Rahe for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Itna Yaqin Rakh Ki Guman Baqi Rahe in PDF.