Qadam Qadam Pe Naya Imtihan Hai Mere Liye

qadam qadam pe naya imtihan hai mere liye

ye shahr aaj bhi ek haft-KHwan hai mere liye

nahin hai ab koi ehsas-e-roz-o-shab bhi mujhe

bas ek arsa-e-paikar-e-jaan hai mere liye

na rahguzar-e-shajar-dar hai na aab-o-sahab

ye tez dhup ye sahra-e-jaan hai mere liye

main ek sitara hun us ke falak se TuTa hua

wo dhund hoti hui kahkashan hai mere liye

sameT leti hai mujh ko main TuTa-phuTa sahi

ye raat KHirqa-e-awargan hai mere liye

mahakte rahte hain KHwabon mein hijraton ke gulab

nai zamin naya aasman hai mere liye

ubur karna hai dariya-e-shor mujh ko 'kamal'

aur ek kashti-e-be-baadban hai mere liye

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qadam Qadam Pe Naya Imtihan Hai Mere Liye In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Qadam Qadam Pe Naya Imtihan Hai Mere Liye is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Qadam Qadam Pe Naya Imtihan Hai Mere Liye for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Qadam Qadam Pe Naya Imtihan Hai Mere Liye in PDF.